This article is meant to be posted in atulsongaday.me. If this article appears in sites like lyricstrans.com and ibollywoodsongs.com etc then it is piracy of the copyright content of atulsongaday.me and is a punishable offence under the existing laws.
“Deewaali Ki Raat”(1956) produced by Vishandas Sapru and directed by Deepak Asha for V.A.R.Productions. The movie had Talat Mehmood, Roopmala, Shashikala, Gope, Motisagar, Neeta etc. in it.
Three songs from the movie have been discussed in the past. Here is the fourth song from “Deewaali Ki Raat”(1956) to appear in the blog. This song is sung by Talat Mehmood, Madhukar Rajasthani is the lyricist. Music is composed by Snehal Bhatkar.
Only the audio of this song is available, but it is clear that this song was picturised on Talat Mehmood himself.
Song-Kahaan meri manzil kahaan meri raahen (Deewaali Ki Raat)(1956) Singer-Talat Mehmood, Lyrics-Madhukar rajasthani, MD-Snehal Bhatkar
Lyrics
kahaan meri manzil
kahaan meri raahen
kahaan apne dil ko
liye ja raha hoon
kahaan meri manzil
kahaan meri raahen
kahaan apne dil ko
liye ja raha hoon
bahaaron ne mujhse kiya hai kinaara
bahaaron ne mujhse kiya hai kinaara
fizaaon ko sajde kiye ja raha hoon
kahaan meri manzil
giri aisi bijli
jala aashiyaana
magar ye chaman mein
kisi ne na jaana
luti meri duniya
miti aarzuyen
luti meri duniya
miti aarzuyen
magar phir bhi ab tak
jiye ja raha hoon
kahaan meri manzil
shiqaayat na unse
na koi gila hai
shiqaayat na unse
na koi gila hai
jahaan mein mohabbat ka
ye hi sila hai
chhupaaye huye dard
dil mein hazaaron
chhupaaye huye dard
dil mein hazaaron
huzoome tamanna liye ja raha hoon
kahaan meri manzil
bhula do mujhe aur meri kahaani
bhula do mujhe aur meri kahaani
mubaarak ho tumko nayi zindgaani
salaamat raho tum
ho sehra mubaarak
duaayen main dil se
diye ja raha hoon
kahaan meri manzil
